Google Analytics ko blogger me kaise set kare in hindi (step by step) delhi technical hindi blog !

google analytics ko blogger me kaise set kare !

Google analytics hum kun use karte hai – hum agar blog ya koi website chala rhi hai to humko pta nhi ki humare blog ya website pe abhi is time kitne log hai aur kitne log kya dekhte hai… ye sab jankari ke liye hum google analytics ka use karte hai ye ek free website hai jo google ki hai jisko hum use karke bahut accha traffic la sakte hai.

Google Analytics ko blogger me kaise set kare
Google Analytics ko blogger me kaise set kare

what is google analytics ?

Simple word me bolu to website ka traffic ko manage karne wala tool ko hum google analytical bol sakte hai, Hum dekte hai ki humare blog ya website pe jo log aaye hai wo kya search kar rhe hai agar wo pta chal jata hai ki log konsa post jada pad rhe hai aur jada kya search kar rhe hai humare post me to hum uske hisab se ek aur post likh sakte hai ya us post ko aur acchha se modify kar sakte hai taki aur jada traffic aaye.

Isme aapko real time data mil jaata hai dekhne ke liye ki si time kiten log humare website pe hai aur wo log konse location se hai aur bahut kuch aapko isme mil jaiga,to simple aapko ye pta chal gya ki aapko is ko use kun kare – isliye use karoge taki aapko apke website ka real data ya stats aur kitna traffic aarha hai ye sab pta karna ho to aap iska use kar sakte ho.

Isko use karne ka liye aapko kya karna hai simple agar aap blogger.com pe apni blog ko chala rhe ho to aapko simple woha pe traffic dekhne ke liye aapko woha pe post ke liye stats milta hai jaha pe aapko jada kuch nhi milta hai aapko ye pta chal jata hai ki aapki website ya blog pe aaj kitna traffic aaya aur kitna kal aaya aur kitna hamesa aaya ye sab simple stats aap woha se pta kar sakte ho.

Aur agar aapko google analytics ka use karte ho to aapko real time aur stats se lekr ek ek chij ka pta chal jaiga jo customer aapke website pe aaya hai uska sab kuch jan sakte ho ki wo kha se aaya hai kya dhund rha hai ye sab kuch,To aaiye jante hai isko kaise use karte hai.

Simple aapko google.com pe jana hai fir woha pe search karna hai google anayltics aur sabse uper jo result aayega google anayltics ka usko aapko open karna hai fir aapke samne ye page open hoga.

Google Analytics ko blogger me kaise set kare

Fir simple aap jaise analytics ko open karoge to aapke sign in karne ke liye bolega to simple aapko apne gmail id aur password dal ke sign up karna hota hai jaise ye niche email id atti hai isme aapko simple jo aapki id hai wo select karne ke bad aapko password dalna hai fir aapko sign up ho jaiga.
Google Analytics ko blogger me kaise set kare
Sign up hone ke bad aapko simple ye page show hoga to apko isme se sabse last me sign up likha hai uspe click karna hai.

Google Analytics ko blogger me kaise set kare
  • Fir aapko sign up pe click karne ke bad aapko ek new page open hoga jo ye hai jisme aapko kuch details bharna hoga jaise.
  • website or android app me select karna hai.
  • fir aapko name dena hai koi bhi.
  • fir uske bad aapko ek bar website name dalna yaha bhi aap kuch bhi dal sakte ho.
  • Fir aapko apne website ka url dalna hai jaise mera website ka url ye hai www.delhiproduct.info”.
  • Fir aapko uske niche “Category” select karna hai.
  • Fir aapko woha pe time zone select karna hai jaise india select karoge to aapko uska time zone automatic select ho jaiga.

Google Analytics ko blogger me kaise set kare
Fir aapko ye sab details bharne ke bad simple aapko niche jana hai matlab scroll down karna hai aur fir aapko ye show hoga jaha pe pahale se hi kuch tick lage honge woha pe aapko tick hatana nhi hai aur na hi kuch change karna hai aapko simple woha pe “Get traking id” ko simple click karn dena hai.
Google Analytics ko blogger me kaise set kare
Fir jaise hi aapko get traking id pe click karogee to aapko ek new popup window open hoga jaha pe aisa show hoga jaise aapko niche image me show ho rha hai woha pe simple aapko sabse uper jo maine arrow diya hai woha pe aapko apni country select karna hai fir uske niche ek tick box hai woha pe aapko ek tick lagana hai fir aapko simple niche scroll karna hai.
Google Analytics ko blogger me kaise set kare

Fir aap scroll karoge to aapko niche ye show hoga jo maine aapko niche image diya hai woha pe aapko ek aur tick mark hoga jaha pe aapko simple ek tick lagana hai fir aapko niche “I accept” likha hai simple woha pe click karna hai.

Google Analytics ko blogger me kaise set kare
I accept karne ke bad aapko simple ye pura page open hog jaiga jisme aapko ek “tracking id” likha hoga jaha pe maine tick lagaya hai woha pe tracking id likha hai us id ko aapko simple copy karna hai.

Google Analytics ko blogger me kaise set kare

Apne jo tracking id copy kiya hai usko aapko blogger.com pe setting section me dalna hai jaise dekho….aapko simple blogger ke dashboard me jana hai fir woha pe setting hoga to setting pe click karna hai fir aapko woha pe other wala option pe click karna hai fir aapko aisa page show hoga jo maine niche image dala hai.

Google Analytics ko blogger me kaise set kare

Fir other pe click karne ke bad woha pe jo page open hoga woha pe aapko sabse niche jana hai aur woha pe google analytics likha hoga woha pe analytics web property likha hoga to woha pe uske samne ek box hoga jisme tracking id paste karna hai jo aapko copy kiya tha usko aapko yaha pe paste karna hai fir aapko sabse uper right side me save setting ka option show hoga jisme apako save setting pe click karna hai ok.

Uske bad aapko simple google anayltics wale page p jana hai aur woha pe home ka icon hoga woha pe click karna hai fir apko ek dashboard show hoga jaha pe aapko apne website ka pura real data traffic aur stats sab kuch show hoga ok..aur home pe jane ka 1 se 2 ghante tak aapko wait karna hai aur fir apko woha pe traffic aana show hoga jaiga ok.

Google Analytics ko blogger me kaise set kare

Aur yaha pe aapko dekho meri website pe 2 log abhi live hai to 2 likha hai aur right side me aapko bahut sari setting mmil jaiga jaise ki audience dekhna hai location dekhata hai to sara kuch yaha left side me mil jaiga aur aapko iss bahut aacha fayda le sakte ho ok.

Uske bad aapko kabhi bhi khi se bhi aap apna ye stats check karn sakte ho simple aapko sirf google pe ja kar google analytics login karna hai aur fir aapko sab kuch show ho jaiga, google analytics code ya google analytic web ya tool bhi bolte hai to agar ye mera post acchha laga to aap simple is post ko share jarur kare…aur comment setting me ye jarur bataye ki ye post kaisa laga.

To guys agar aapko mere ye post Google Analytics ko blogger me kaise set kare  accha laga to aap is post ko share kare aur post ki niche bell icon ko press karke allow kar de taki aani wali post ki notification aapko sabse pahale mil jaye aur aap apni gmail id se bhi subscribe kar sakte hai apko side bar me subscribe ka option mil jaiga ok thanks you.

Leave a Comment