Samsung Galaxy A9 – world’s first phone with 4 rear cameras – first look in hindi | delhi technical hindi blog !

Samsung Galaxy A9 – world’s first phone with 4 rear cameras – first look in hindi – To dosto mai aapko aaj samsung galaxy a9 ke bare me full details bataunga jo newly launched hua hai samsung galaxy A9 pro ki khas bat ye hai ki isme rear 4 camera hai aur company ne is 4 camera wali phone ko “Quadap” ka nam diya hai.

Samsung Galaxy A9 - world's first phone with 4 rear cameras - first look in hindi
Samsung Galaxy A9 – world’s first phone with 4 rear cameras – first look in hindi

Samsung Galaxy A9 – Storage, Battery and Charging

Samsung Galaxy A9 pro ko storage ke mamle me bahut jada customer ko boost milne wala hai isme 3800 mAH ki badi wali battery di gyi hai, A9 mai 128GB SD card diya gya hai, isme ek khas bat ki users ko 512GB tak ka expendable storage milega.

Lambe samaye tak chalne wali battery ko fast charging bhi diya gya hai, aur jab phone ko banate samaye phone ko check kiya to isme lagbhag 3720 mAh tak ki battery ho jati hai.

Samsung Galaxy A9 – Colors, Display and Finger Print

Samsung galaxy a9 pro me aapko 3 color mil jaiga – Black, Blue Lemonade aur bubble gum pink aur survey ke time pe ye pta chala hai ki in 3 no colors me se Blue Lemonade bahut best hai, isme aapko display ki inch wo 6.3 inch ka milega jo aaj ke time pe accha look deta hai.

Aur company ka ye bolna hai ki badi screen is liye diya hai taki aap game ka maza le sako aur multi-tasking features ko use kar sako, isme security ke mamle me aapko Facial recognition system diya gya hai, iske sath me rear me finger print scanner bhi diya gya hai, isme aapko 3d glass finish bhi hai.

Samsung Galaxy A9 – 4 Rear cameras aur 120 Degree wide camera angle 

A9 me aapko duniya me sabse pahale 4 rear cameras dekhne ko milega iska primary rear aur selfie cameras dono 24mp ka hai, isme aapko rear cameras me 5mp sensor depth effect ke liye maoojud hai fir iske sath wide angle ke sath 8mp ultra wide angle sensor aur 10mp telephoto lens bhi diya gya hai jo ki 2x zoom features ko support karta hai.

Total mila kar is phone me 24MP+10MP+8MP+5MP ya aap bol sakte ho 47MP Quad lens rear cameras ke sath aata hai, Aur company ke anusar is phone me technology ke hisab se isme bahut her pher kari gyi hai jaise in 4 cameras me aapko ek professional look mil sake.

Aur is selfi camera aapko focus handi features ke sath aata hai jisme photo bombers ko blur kar sakte hai, aur iske selfi camera mai pro lighting jaise features diya gya hai, live focus features selfy ki photo ko ek professional look deta hai, aur isme aapko bahut alag alag feature mil jaiga jisko aap use karoge to aapko ek professioal phone lagega.

Conclusion

To dosto aaj maine aapko is post Samsung Galaxy A9 – world’s first phone with 4 rear cameras – first look in hindi | delhi technical hindi blog ! me puri jankari de hai agar aapko ye mera post accha lagta hai to is post ko apne dosto ke sath jarur share kare.

Aur niche diye gye bell icon ko press karke allow kar lo fir continue and allow kar do taki aapko humari post ki latest notification aapko sabse pahale mil jaiye.

Leave a Comment