Online Work Benefits aur Loss in hindi | online kam karke humko fayda hoga ya nuksan hoga |
To finally bahut se log online mai work karne lage hai jaise dekho koi you tuber ban rha hai to koi blogger ban rha hai to koi affiliate marketing ka boss ban rha hai to koi degital work kar rha hai.
To dosto agar aapne bhi soch liya hai ki aapko online work karna hai to is post ko pura pado taki aapko shi dhank se pta chal paye ki online work karne mai kya kya dikat aati hai.
Online work karne ke fayde bahut bahut jada hai par online work karne ke nuksan bhi bahut hai jaise aapki apne body ka pura khayal nhi rakh pate ho pure din aap laptop or computer ke uper work karoge to aapko wase hi bahut se bimari hongi to puri jankari ke liye is post ko pura pado online work benefits or loss in hindi.
Benefits of online work (advantage) in hindi
To dosto online work karne ke liye aapko thodi bahut computer ke knowledge honi chaiye basic knowledge agar wo bhi nhi hai to aap dhire dhire kam karte karte sab sik logi, wase to online work karne ke bahut se advantages hai usme se important aapko yaha milega.
- Own Boss (Apne kam ka khud malik hona)
To dosto online work karne ka sabse bada fayda ye hai ki aapko online work kabhi bhi start kar sakte hai aur kabhi bhi band kar sakte hai matlab aapko koi rokne wala nhi hai aap apne kam ke khud malik ho jab man kare tab aap kam karo jab na kare to mat karo.
- More money (Bahut jada paisa kama sakte ho)
To dosto agar aap online work karte ho to aapko pahale thodi bahut mehnet karna hota hai aur kuch mahino tak uske bad aapki income bahut jada ho jati hai depend karta hai aapke pas vijitor kitne hai.
Chahhe aap you tube pe work karo ya free lancing pe work karo ya aap blogger ban ke work karo aapko usme vijitor lana hota hai chahe aap khi se bhi laoo.
Aur finally aap kuch month ke bad aap online bahut jada paisa kama sakte ho jaise man lo ki 5 month ke bad aapki earning 50k to 1 lack ke ass pass ho jati hai it s mean ki aap isme bahut jada paisa kama sate ho.
- Famous (Mahsoor hona)
Agar aap famous hona chahate ho to aapko online work karna chaiye kunki online mai agar aap you tube pe work karte ho to aapko bahut se log aapke subscribers ban jati hai aur wo log aapko bahut badiya se jante hai.
Agar aap blogger bante ho to aapki post ko read karne wale aapko jarur jante ho aisa ho nhi sakta to aap online koi bhi work karo aapko famour hone se koi nhi rok sakta aapko yaha pe fame aur money dono milta hai.
- New Learn (Kuch naya sikhna)
To dosto agar aap koi bhi online work karte ho to aapko kuch na kuch new learn kar lete ho kunki aap online work karoge to aap google pe kuch na kuch jarur skhoge to aise hi aap online work karne kuch na jarur sikh sakte ho.
- Low investment startup (Kam paise me kam start hoga)
To finally agar aap online ka bussines suru bhi karoge to aap kam paisoo mai aap online work suru kar sakte ho to finally aap online work karoge to aapko kisse aur se paise lene ki koi jarurat nhi padeagi.
- Family time (Apne parivar ko time de sakte ho)
To dosto agar aap online work karte ho to aap apne family ko time de sakte ho matlab ki agar aap online work karoge to aapka office bol lo to wo to aapke ghar waloo ke pass hi hoga.
To aap online work mai aap ghar walo ka kam bhi aa sakte ho aur kuch kam hoga to wo bhi kar sakte ho kabhi bhi koi bhi jarurat padne pe aap kam aa sakte ho.
Loss of online work (Disadvantages) in hindi
To dosto agar aap online work karte ho to aapko fayde bhi hai aur nuksan bhi to fayde to uper bata diya hai aur ab nuksan batata hun kunki agar aapko kisse kam mai fayda hoga to jahir se bat hai kuch ya thoda bahut to nuksan to hoga hi.
- Health problem (Body ko healthy nhi rakh pana)
Dosto agar aap online work karte ho to aapka man sara online hi hota hai kunki agar jisko online work pasand hai usko jada maja online mai hi aayega aur logo ko jisme jada maha aata hai wo log usme jada work karte hai.
Is chakar mai log apni body pe work karna matalb ki yoga ya exercise karna dhire dhire bhul jate hai aur aise hi bahut se bimari hone lagti hai jaise hum puri din laptop ya computer ki screen pe work karte hai to bahut se bimari hume wase hi hone lagte hai.
- Time to time (Samye samye par kam ko karna)
To dosto agar aap online work karte ho to iska matlab ye nhi ki aap kabhi bhi off le lo matlab ki free ho jayoo jab aapka man are agar aapko online mai shi se success hona hai to aapko acche se time to time apne work pe kam karna hoga.
Agar aap ye soch rhe ho ki aap kabhi online game khel rhe ho ya online aap video dekh rhe ho to aap online work nhi kar sakte ho.
- Disturbed (Kam mai disturbed karne wala)
To finally agar aap kam karte hai to aapke ghar pe aapke mata pita aur bacche ho sakte hai ya aap agar room mate ke sath rhete hai to aapko har time koi na koi disture hota hoga kunki koi na koi kam jarur karna hota hai isliye aap agar online work karna chchate ho to aapko apna ek alag se room le sakte ho.
agar aapka bugut nhi hai jab tak aap apne ghar walo se bat kar sakte ho ki is time mujhe koi disturebed na kare.
- No money (Paisa na milna)
To dosto agar aap online work karna hai to aapko ek accha platform choose karna hoga jo apne aap me khud ek loyal company hogi jaise aaap online ke liye free lancing work kar sakte ho ek you tubers ban sakte ho ek blogger ban sakte ho aise hi aap bahut se work kar sakte ho.
Par aaj ke time pe bahut se compnay fraud work karti hai to aapko sayed pta na ho aur aap kam karte ho aur end mai aapko apka paisa na mile to aapko ye dikat aa sakte hai isliye aapko shi se suj buj ke work karna hai.
- Fail (fail hona)
To aakhir mai aapko fail hone ke problem ho sakte hai dosto online work sunne mai jitna aasan lagta hai utna aasan hai nhi agar aap online work karna hoga to aapko apke work me bahut jada loyal hona padega isliye aapko apna kam ko ek time ke hisab se karna padega.
Agar aap aisa nhi karte to aap online mai sucess nhi pa sakte ho aur aap fail ho jaooge to ye aapko fail ki problem bahut aani wali hai agar aap ek shi direction mai work karoge to aapko success jarur honge par shi direction na milne pe aap fail ho sakte ho.
Conclusion
To dosto aaj is post mai maine aapko Online Work Benefits aur Loss in hindi | online kam karke humko fayda hoga ya nuksan hoga step by step | delhi technical hindi blog ! full details mai bta diya hai agar aapko koi dikat aati hai to comment secttion mai comment kare.
Aur post aapko accha laga to is pot ko apne dosto ke sath jaur share kare taki aise knowledge har kisse ki pas pahuche.