Diwali kun manate hai (deepawali kuon manate hai) Happy Diwali 2018 | delhi technical hindi blog !

Diwali kun manate hai (deepawali kuon manate hai) Happy Diwali 2018 – aaj is post me aapko diwali ke bare me puri jankari dunga, diwali hun india me manate hai aur ye diwali hindu ka parmukh festival me se ek hai, Festival lighting wala festival hai jisme har jaghe jaghe pe light hoti hai,


Diwali kun manate hai (deepawali kuon manate hai) Happy Diwali 2018 | delhi technical hindi blog !
Diwali kun manate hai (deepawali kuon manate hai) Happy Diwali 2018

Diwali me hum log apne gharoo ko ekdam saff or sunder karke rakhte hai diwali ke time aate aate har gharo me color ho jata hai taki humara ghar ekdam accha lage aur sari gandagii ko saff karte hai har gharoo me diye jalate hai taki har ghar lightning se bhar ho aur sawach or sunder lage.

Ye mana jata hai ki diwali me har ghar saff hone chaiye tabhi laxmi mata har ghar me aati hai aur kuch log ye bolti hai ki diwali manate samaye laxmi mata har ghar me ati hai aap puja pad karna chaiye taki laxmi mata happy ho jaiye, Diwali ka festival lagbhag 5 din ka hota hai.

Also Read:-

  1. Blog me Real Organic Traffic kaise laye For Beginner (step by step)
  2. blogging kaise start kare for begineer ( step by step)
  3. Blogger ko adsence ke sath kaise link (kare step by step)

Aur in 5 dino me alag alag vidan hota hai jaise pahale din to Dhanteras manate hai jo hum devi laxmi mata ki puja karke manate hai aur sare log devi laxmi ko khus karne ke liye aarti, bhagti geet, aur bhagwan mantr ko padte hai.

Aur fir dusre din mai narak chaturthi ki choti diwali ke rup mai manaya jata hai jisme log bhagwan krishan g ki puja karte hai, kunki krishan g ne raja narkasaur ko mar diya tha jaise moning me oil ke sath nahate hai aur madd par kum kum lagane ki devi kali mata ki pura karte hai.

Tisre din me log parmukh diwali ka main festival manate hai us din devi laxmi ki pura kiya jata hai aur apne dosto ko restadaroo ko parsad aur mithaiyee diya jata hai matlab batti jati hai aur sham ko aag se patake jalate hai aur fulljariya bhi jalate hai.


Fourth day me bhagwan krishan g ki puja kari jati hai aur goverdhan ki puja manaya jata hai aur log us din goberdhan manate hai aur apne gharoo ke darwaje ke samne gober ka safayi karte hai, ye isliye maya jata hai ki krishan g ne apni choti finger se gober-dhan mountain ko uper utha liya tha aur us din krishan g ke gokul ke jo bhi log the unko barish ke bhagwan inder g se bachaya tha.

Aur fifth day me bhaiya duj manaya jata hai jisme ek bhai aur ek behan ke duwara manaya jata hai us din har behan apne gharoo me bhai ko rosan dan me bulati hai aur ek sath jasan manate hai.

Aur jis din sham ko log patake jalate hai us din log apne bure kamoo ko bhul jati hai matlab sab chod dete hai aur puri sall me acchi aadati ko pane ke liye acchi aadate ko aapnate hai, aur khi jaghe pr to log diwali ke bad new year bolti hai diwali ke bad naya sall ke trah manate hai,

Diwali kon kon manate hai 

Diwali wase bole to hindu logo manate hai lekin diwali aaksar Jain, Buddha and Sikh religion wali bhi manate hai aur bhi bahut log manate hai lakin jo puri puja padd ke sath manate hai wo ye char religion hote hai hindu, Jain, Buddha and Sikh religion.

Diwali kab aur kun manate hai (why diwali is celebrated) happy diwali 2018


Wase diwali hum kun manate hai kya region hai jo hum diwali manate hai, kuch logo ka kahena ye hai ki hindu religion me ram bhagat ke aanusan aamawasa ko bhagwan ram 14th year ka banwas kat kar aaye thi aur wohi jain religion me diwali festival ko bahut bada mana jata hai unka kahena ye hai ki is din jain dharm nirmad hua tha.

Diwali ke din bahut se log male me jati hai woha pe meela lagta hai aur market me bahut chahel pahel hota hai is din bahut se dukanoo me sweet ki bikri bahut hoti hai is din sare log bahut khus hoti hai aur har ek dusman bhi dost ke rup me badal jata hai.

Diwali kaise manaye – diwali festival ek lighting festival hai jisme har log apne gharoo me light lagate hai aur diye jalate hai aur aise hi bahut se log diwali me ghumne jate hai aur diwali ke din samko patakoo se manate hai bina patooo ki diwali aadhuri hoti hai, jo ki bahut se log puri sall yahi intazar karte hai ki diwali ki din patake phodte hai.

Halaki diwali ke din har log patake hi nhi balki ek dusri ke sath mil kar bhi manate hai aur apni mat bhed mita kar bhi manate hai aur ye khusiyoo ka festival hai jisme apno se badoo logo ka aasirwad lena hota hai aur bahut se log bahut jada patake phodte hai lekin aisa nhi karna chaiye aur jo paise aap patake me lagate hai wo ek acchi chijo me lagaoo to jada accha rahega kun ki aaj ke time pe bahut se pollution hota hai jo sehat ke liye accha nhi hai.

Also Read:-

  1. Blog me Real Organic Traffic kaise laye For Beginner (step by step)
  2. blogging kaise start kare for begineer ( step by step)
  3. Blogger ko adsence ke sath kaise link (kare step by step)

Apne parivar ke sath bahar ghumne jaiye aur apne man pasand wali chije ko kharide aur garibo ko sweet dete hai aur jaisa ki aako pta hai thand aane wali hai to aap kambal kharid ke garibo ko de sakte hai aur apne khusiya un garib logo ke sath bhi share kare jin logo ne abhi tak koi khusiya nhi mili ho.

Conclusion 


To dosto aaj ke post Diwali kun manate hai (deepawali kuon manate hai) Happy Diwali 2018 | delhi technical hindi blog ! me aapko diwali ki sari janakari mil gyi hogi agar aapko ye mera post accha laga to is post ko apne dosto ke sath jarur share kare aur niche bill icon ko press karke continue and allow karde taki aane wali har latest post ki notification aapko sabse pahale mil jaiye aur koi bhi sujaw ho to comment settion me jarur comment kare. 

Leave a Comment