Complete Details About Bank Details and What is Bank Clerk in hindi full guide | Eligibility for Bank Clerk | Delhi technical hindi blog !

Complete Details About Bank Details and What is Bank Clerk in hindi full guide | Eligibility for Bank Clerk – Dosto aaj ke time pe har bank mai clerk ki jarurat hai wase hi aaj kal har bank bahut tezi se grow kar rha hai chahe aap sarkari bank le lo ya private to dono ki bahut tezi se grow kar rhe hai to aaj mai aapko full details mai batunga Bank Clerk ke bare mai.

Complete Details About Bank Details and What is Bank Clerk in hindi full guide | Eligibility for Bank Clerk | Delhi technical hindi blog !
Complete Details About Bank Details and What is Bank Clerk in hindi full guide | Eligibility for Bank Clerk

To simple dosto ye bank clear aaj kal jo humara india ka youth hai wo sabse jada is naukri ko pasand karta hai karne ke liye to simply puri jankari lene ke liye is post ko suru se end tak jarur pade.

What is Bank Clerk ? in hindi !

Dosto aaj ke time pe Bank Clerk bahut hi Respected post hai aur aaj ke time pe jo youth hai wo ye sochte hai ki humbhi ek professional tarike se Banking mai job kare.

Bank Industry kuch time me hi bahut bada grow ho chuka hai aur har koi aaj ke time mai degital ho rha hai to ap har kisse ke pas net banking ko use karne ki chamtaa hai.

To jaise hi MNC bank aayi hai wase hi is Industry ka growth bahut tezi se hua hai aur ek se ek professional Bank Clerk ka jo life style hota hai unko bahut se log pasand karte hai.

Inka jo Life Style hai unko dekhte hui aaj kal ke bachhe bhi Bank Clerk ki job karna chahte hai aur isme opportunities bhi bahut hai.

After Graduate ke bad aap Bank Clerk ke liye apply kar sakte ho aur iske examination ko ke process ko complete karne ke bad aap kisse bhi sarkari ya private Bank mai lag sakte ho.

Bank Clerk Eligibility Criteria in hindi

Dosto agar aap Banking line mai job karna chahte ho to aapko jarur pta hona chaiye ki isme aapko join hone ke liye kya kya criteria hoti hai.

Age Limit For Bank Clerk 

Dosto agar aapki age 20 years hai to aap apply kar sakte ho aur agar aapki age 28 years se uper hai to aap apply nhi kar sakte.

Matlab ki 20 se 28 years ki log isme apply kar sakte hai agar aapki age jada hai to aap Bank Clerk ke liye apply nhi kar sakte.

Dosto isme aapko Age Relaxation bhi milta hai Agar aap SC/ST se ho to aapko 5 Years ka aur age Relaxation mil jayega.

Dosto agar aapki Category OBC wali hai to aapko 3 Year ka aur age relaxation mil jayega to jaise agar aap general category mai aati ho to aapko 20 se 28 years ke ander aap appy kar sakte ho.

Agar aap SC/ST Category se ho to aap 20 se 33 years ke ander appy kar sakte ho aur agar aapki Category OBC hai to aap 20 se 31 years ke ander aap apply kar sakte ho.

Education Qualification Eligibility for Bank Clerk

To agar aapko Bank Clerk mai apply karna hai to aapko simple Graduate to hona chaiye, ye jaruri nhi hai ki aap particular B com ke students ho ya Science ke students ho ya Arts ke ho.

Aap kissi bhi Sarkari University jo ki Goverment Recognization University ho woha se aap Graduate hone chaiye bas Bhale aapne Bcom karna hai ya Bsc kar hai ya koi Engineering ke students ho sabhi iske liye apply kar sakte hai after Graduation.

Banking Exam Process ke Bare mai kha se pta kare

Dosto ye sabhi jitne bhi Banking se related exam hote hai wo sabi IBPS-Institute of Banking Personal Selections karta hai.

Aur IBPS jo hai ye 1 saal pahale hi apne jo bhi Exam hone wale hai uski Declaration kar deta hai taki har kisse ko malum ho sake.

Bank Clerk Exam Process 

Dosto Bank Clerk mai 2 trah ke Exam hote hai Dosto jo pahale exam hota hai wo Preliminary Exam hota hai Jo ki Banking ka First Exam hota hai.

Aur dusra Exams hai wo B. MAINS Exam hota hai To dosto ye dono Exams hota hai aur aapko Ye dono hi exam ko Complete karna Mandatory hota hai.

Uske bad Dono exam dene ke bad jo aapke numbers hote hai unke hisab se aapko Merit list dekhne ko milegai matlab aapke number ke hisab se merit list aati hai.

To dosto jab aapki Merit List aati hai to merit list ke aadhar pe hi aapko pta chalta hai ki aap ne Bank Clerk exam ko Qualify kar paye hai ya nhi, kunki Merit list ke according aapka number hai to aapko kisse bhi bank mai apply kar sakte ho.

What is Bank Clerk Salary ?

Dosto jo Goverments bank hai unke hisab se Bank Clerk ki basic salary 12,000 thousand hoti hai Uske bad aapki jo Gross Salary hoti hai wo 20,000 Thousand hoti hai aapka sab kuch mila ke convense, hra ye sab mila ki final salary 20k hoti hai As Per Goverments rule.

Dosto ye salary ka Private aur Goverments bank ka dono ka same hota hai but kuch kuch privates bank hoti hai jo aapko kuch alag de sakti hai wo depend karta hai bank ke criteria pe.

Conclusion

To dosto aaj ke is post mai maine aapko Complete Details About Bank Details and What is Bank Clerk in hindi full guide | Eligibility for Bank Clerk | Delhi technical hindi blog ! full details mai bta diya hai agar aapko koi dikat aati hai to comment secttion mai comment kare.

Aur dosto ye post aapko accha laga ye aapke kuch kam aaya to is post ko apne friends aur relative ke sath jarur share kare, aur ye post ke regarding koi bhi sujaw ya sawaj ho to comment mai dale.


Leave a Comment