Nios Updates | Ab har hafte do exam nios new updates | nios students appears exam in every week | delhi technical hindi blog !

Nios Updates | Ab har hafte do exam nios new updates | nios students appears exam in every week – to finally dosto nios ne ek aur update nikal diya hai wase nios hamesa se students ke liye new updates nikalta hi rehata hai, aur ab ye new update hai ki ab nios students har hafte de sakte hai paper.

Nios Updates | Ab har hafte do exam nios new updates | nios students appears exam in every week | delhi technical hindi blog !
Nios Updates | Ab har hafte do exam nios new updates | nios students appears exam in every week 

To dosto agar kisse bhi students ka nios exam mai kam number aaya ho ya ek exam mai fail ho gya ho ya 2 exam mai ya improvement exam dena hai to wo bacche har hafte paper de sakte hai.

To dosto pahale ke time pe 1 sall ka wait karna hota tha exam ke liye ya exam ke time ka wait karna hota tha 6 mahine ya 1 saal, par ab nios ka new updates ye hai ki aap agar fail ho chuke ho to aap pass hone ke liye har hafte paper de sakte ho.

Aur ab nios ne ayelan kiya hai ki agar aapka paper nikala hai aur aap kisse subject mai fail kar gye hai to aap us subject ka paper to agle hafte exam de kar aap usme pass kar sakte hai.

Dosto nios ne bahut se short tarika nikala hai jisse har koi paper de kar pass ho sakta hai aur to ab nios ka short terms wala update bhi aa chuka hai jisse aap har hafte paper dekar pass ho sakte hai aur us degree ki acchi khassi value bhi hai.

Ab 10th aur 12th me fail students kabhi bhi exam de sakte hai 

Dosto result mai fail hone wali students agle hafte se apna fail wala paper dekar pass ho sakte hai aur uske number ka uper aap apne marks mai add kar sakte hai aur apni degree le sakte hai.

Bahut se students har bar pass nhi ho pate aur unka time delay hota hai to nios ne bola ki ab unki har sall barbad nhi hogi kunki ab har koi har after every week exam de sakta hai.

To dosto agar aap 10th class ke students hai to aapko nios ki website pe stream 3 mai jana hoga aur agar aap 12th class ke students hai to aapko stream 4 mai jana hoga.

Agar aap board ka paper deta hai to aapko kisse subject mai fail hone ka bad aapko bahut time lagta hai  next exam ke liye to aisa nhi hoga aap turant exam de kar pass ho sakte ho.

To dosto iski starting may 1st week se aap admission hone chalu honge matlab aap exam fee de kar may 1st week se exam de sakte hai aur 1st may se aap har hafte paper de sakte hai.

Ye jo Nios ka new updates aaya hai wo 1st May se lagu hoga aur iske sath himachal students bhi nios mai credit transfer dega to wo students bhi nios mai exam de sakte hai aur jaise wo 3 subject mai pass hai to baki ke pass nios se de sakte hai.

Conclusion

To dosto aaj maine aapko is post mai Nios Updates | Ab har hafte do exam nios new updates | nios students appears exam in every week | delhi technical hindi blog ! full details mai bta diya hai agar aapko koi dikat aati hai to comment kare aur ye post aapko accha laga to isko share jarur kare.


Leave a Comment