Incoming Calls are not FREE | Airtel, Idea, Vodafone Validity Recharge Plan: 23, 35, 65, 95 full guide in hindi step by step | delhi technical hindi blog !

Incoming Calls are not FREE | Airtel, Idea, Vodafone Validity Recharge Plan: 23, 35, 65, 95 Details full detain in hindi – to dosto aaj ke time pe aap sabko pta hoga ki jio jab se market mai aaya hai tak se airtel, idea, aur vodafone ye compnay ka paisa kamana sab band ho gya hai isliye ab in hone ek plan nikala hai.

Incoming Calls are not FREE | Airtel, Idea, Vodafone Validity Recharge Plan: 23, 35, 65, 95 full guide in hindi step by step | delhi technical hindi blog !
Incoming Calls are not FREE | Airtel, Idea, Vodafone Validity Recharge Plan: 23, 35, 65, 95

To finally is airtel, idea, vodafone ye compnay ne mil kar ek plan nikala hai ki jo inke company ke sim use kar rha hai wo network to pura pura use kar rhe hai par sim me recharge nhi kara rhe hai aur net aur calling jio ka use kar rhe hai lakin call humarii sare tower ka use kar rhe hai free mai.

To is chakkar mai ki sab jio use kar rhe hai aur airtel, idea aur vodafone mai to koi recharge nhi kara rha hai isliye inhone ek plan nikla hai ki agar aap incoming call bhi use karte hai to aapko validity ka recharge karna hoga aur nhi karaooge to aapko sim pe incoming call aani band ho jayega.

  1. Ghar Baithe online job
  2. Zanish Zehen Car Accident Famous You tubers in india
  3. Online work Loss aur Benefits in hindi

To finally is post mai aapko incoming calls are not free airtel idea vodafone ki jo validity rechage wala jo bhi plan hai aur jo company karna chah rhe hai wo sab is post mai bataunga.

Incoming calls are not free in hindi (calling problem)

To dosto jaisa ki maine bataya jio ko chod ke baki company apne user se paise nhi kama pa rhe hai isliye inhone ye plan nikala hai ye kuch company ek sath mil kar is plan ko nikala hai.

Log in compnay ki sim ko full use kar rhe hai par unke sim pe recharge nhi kara rhe hai to company ye soch rhi hai ki ye log humari sim to use kar rhe hai aur pura network bhi use kar rhe hai calling pe bhi incoming calling pe bhi par recharge nhi kara rhe hai.

Aur jio sim pe ye calling bhi use kar rhe hai aur internet ka recharge bhi jio ka use kar rha hai iske chakkar mai in company ne ye plan nikala hai.

Kunki jio ki takkar to ye company kar nhi sakti kunki itna sasta internet pack ye de nhi sakte itna sasta calling pack ye de nhi sakte to jio ki barabri to ye kar nhi sakte hai is chakkar mai in company ne socha ki jo humare user hai unse thoda bahut validity ka paisa hi nikal lete hai.

  1. Online work Loss aur Benefits full guide in hindi
  2. Zanish Zehen CAR Accident full story in hindi 
  3. Top 5 Ranking SEO factor in hindi

Wase jab se jio aaya tab se ye baki ki operator wali company ka paisa kama bilkul band ho gya hai to in company ne unko target kiya jo jio company ki sim ko use nhi karte.

To ab in hone ye kar diya hai ki jo chote log hai matlab ki jo chote chote recharge karate the jaise 10rs, 20rs, ya 50rs ka ye plan un logo ko target karne ke liye kiya gya hai kunki jio sim to unke phone mai support nhi karega kunki jio Volte ko support karta hai.

To yaha pe company ka ye bolna hai ki hum kun in logo ko service de jo humko paisa hi nhi de rhi hai aur is chhakkar mai in hone ek plan launch kiya hai validity ka aur ye plan ek company ne nhi balki airtel, idea, docomo, vodafone jaise compnay ne ye plan nikala hai.

Taki ek monoploly jaise create ho jaye jaise agar aap airtel ko chod ke ideo mai jaoo to bhi aapko us company mai bhi ye plan milega agar aapko ideo ko chod ke vodafone mai jao to bhi yahi plan milega matlab aapko validity ka recharge karna hoga.

Validity recharge plan kya hai 23, 35, 65

To dosto agar aapki phone mai pahale se koi balance hai to aap wo bhi use nhi kar sakte jab tak aapki phone mai validity ka rechage nhi hoga.

Agar aap validity ka recharge karoge to aapka us time tak outgoing aur incoming chalagi aur jab tak aapka validity ka plan chalega jab tak aap use kar paooge.

Aur jab aapka validity plan khatam hoga us din se aapka outgoing to band ho hi jayega bhali aapki phone mai balance ho aur 10 se 15 din mai aapki incoming call bhi band kar denge.

Aur agar aap finally Recharge nhi karate ho aur agar aap 90 din tak matlab 3 mahine tak aap recharge nhi karate ho to ye company aapka sim bhi band kar sakte hai.

To ab ye plan hai ki jab tak aapki phone mai validity wala plan hoga tabhi aap apne balance ko use kar paooge agar aapka validity khatam ho gya hai to aapke phone mai balance ho to bhi aap apne balance ko use nhi kar sakte ho.

To dosto is plan ka sabse monoploly recharge hai 35rs ka jo aapko idea, airtel aur vodafone mai hai isme aapko kisse bhi sim agar aap port karna ki soch rhe ho to aapka yahi plan milega jo aapka agar 35 rs ka rechage karna hoga jo validity ka hoga.

  1. Ghar baithe ke JOB kare
  2. Online Work Loss aur Benefits in hindi
  3. Disavow Tools working or not in hindi

Agar aap 35 ka recharge karaoge to aapko 1 month ki validity mil jayega uske bad aapko 100mb data bhi mil jayega 28 din tak uske bad 35 mai hi aapko 26.66 rs ka balance bhi mil jayega aur calling rate matlab tariff 2.5p/sec mil jayega.

Uske bad aapko airtel se ek chota plan mil jayega jo airtel user hai unke liye agar aap 23rs ka rechage karate ho to aapko 1 month ka validity ka milega matlab sirf aapko validity hi milega ki aap apne balance ko use kar sakte ho 28 din tak.

To agar aapke pas purana balance hai to bhi aapko us balance ko use karne ke liye validity dalwana hoga agar validity nhi hai to ye samaj ke chalo ki apki phone mai balance hi nhi hai.

To finally agar aap inse bachna chahate hai to aapko ek suggestion de rha hun ki agar aap apni sim ko BSNL company mai port karate ho to apko woha pe 36rs mai 6 mahine ke liye validity mil jayega aur yaha pe airtel, idea aur vodafone 35 ek mahine ka le rhe hai woha bsnl 6 mahine ka 36 le rha hai.

Conclusion

To dosto aaj maine aapko is post mai Incoming Calls are not FREE | Airtel, Idea, Vodafone Validity Recharge Plan: 23, 35, 65, 95 Details full guide kar diya hai agar koi bhi dikat aati hai to comment secttion mai comment kare aur ye post accha laga to is post ko share jarur kare.


Leave a Comment