Facebook Basic Limitations kya kya hoti hai in hindi step by step | delhi technical hindi blog !

Facebook Basic Limitations kya kya hoti hai in hindi step by step – To dosto agar aap facebook use karte hai to aapko bahut bar aapka facebook accout block ho jata hai uske bad aap koi bhi article ya kuch bhi link share karte ho to wo spam kar ke us post ko hata deta hai.

Facebook Basic Limitations kya kya hoti hai in hindi step by step | delhi technical hindi blog !
Facebook Basic Limitations kya kya hoti hai in hindi step by step 

Jaise hi facebook ki policy ko koi bhi nuksan hota hai to facebook turant us chij ko block kar deta hai ya to us aadmi ko block kar deta hai facebook ki bahut se terms and conditions hai aur bahut se violation hai jo humko nhi pta ki basic kya kya chije karne se hum block ho sakte hai.

To facebook ki jo bhi limitations hai wo sari aaj is post mai batane wala hun to is post ko suru se end tak pura read karo tabhi aapko facebook ki limit ka pta chalega.

Facebook Basic limitations kya kya hai in hindi !

Agar aapne apna new blog start kiya hai ya aap koi website ko chalate ho to aapko apni blog website pe suru me traffic social media se hi milta hai jaise facebook, twitter, whats app jaise social media se.

Par jab aap post ko website ka link share karte ho to aapka post link block kar deta hai aise mai bahut se limitation hoti hai par mai aapko wo sari limitation bataunga.

To dosto facebook par agar aap koi bhi post dalte ho to us post pe 24 ghante me 5,000 likes hi hone chaiye agar isse jada hua to aapka account block ho sakta hai.

Agar aap message karte ho to aap ek bar mai 150 se jada message nhi kar sakte hai agar aap karte hai to aap kuch time ke liye msg block ho sakte hai.

To friends aaj ke time pe aap bahut se group mai join honge but agar aap khud kisse group ko join karna chahate ho to aap 25 group ko 1 din mai join kar sakte ho aur 25 se jada hua to aap group block ho sakta hai.

Same aisa hi aap pages ko join karne mai laga sakte ho, but agar aap pages ki like karna ho to uski koi limit nhi hai aap kitne bhi kar sakte ho jada se jada 10,000 pe 24 hours mai.

Facebook Friends Accept Request Limit 24 hours mai 1500 se jada nhi hona chaiye nhi to aap agle kuch dino ke liye accept nhi kar sakte friends ko.

To dosto aap goup mai khud 24 hours mai 600 friends ko add kar sakte par agar aap group mi se logo ko add karte ho to koi limit nhi hai kitne logo ko bhi aap add kar sakte ho.

To dosto aap account create karne ke turant bad aap agar koi bhi link share karte hai ya parmotion ke liye kuch bhi use karte hai to aapka account block ho sakte hai.

Couclusion

To dosto aaj maine aapko is post mai Facebook Basic Limitations kya kya hoti hai in hindi step by step full details mai bta diya hai agar aapko koi dikat aati hai to comment secttion mai comment kar sakte hai aur ye post accha laga to is post ko share jarur kare.https://www.delhiproduct.info/2018/12/facebook-pe-online-hote-hui-bhi-offline.html


Leave a Comment